Dua-E-Reem (Prayer of Bride)

Dua-E-Reem (Prayer of Bride)

Lab Pe Aawe Hai,

Lab Pe Aave Hai Dua Banke Tamanna Meri,
(Lab Pe Aave Hai Dua Banke Tamanna Meri)

Zindagi Amma Ki Surat O’ Khudaya Meri,
(Zindagi Amma Ki Surat Ho Khudaya Meri)

Mera Imaan Ho Shauhar Ki Taa’at Karna
(Mera Imaan Ho Shauhar Ki Taa’at Karna)

Unki Surat Ki,
Unki Soorat Ki Naa Seerat Ki Shikayat Karna,
(Unki Soorat Ki Naa Seerat Ki Shikayat Karna)

Ghar Mein Agar Unke Bhatakne Se Andhera Ho Jave,
(Ghar Mein Agar Unke Bhatakne Se Andhera Ho Jaave)

Nekiyan Meri,
Nekiyaan Meri Chamakne Se Ujaale Se Ujala Ho Jawe,
(Nekiyaan Meri Chamakne Se Ujaale Se Ujala Ho Jawe)

Dhamkiyan De Toh Tasalli Hoke Thappad Na Pada,
(Dhamkiyan De Toh Tasalli Hoke Thappad Na Pada)
Parhe Thappad Toh,
Parhe Thappad Toh Karun Shukr Ke Joota Na Huwa
(Parhe Thappad Toh Karun Shukr Ke Joota Na Huwa)

Oh Mera Kaam Naseebon Ki Malaamat Karna
(Oh Mera Kaam Naseebon Ki Malaamat Karna)
Biwiyon Ko Nahin,
Biwiyon Ko Nahin Bhaave Hai Baghavat Karna,
(Biwiyon Ko Nahin Bhaave Hai Baghavat Karna)

Mere Allah Ladayi Se Bachana Mujhko,
(Mere Allah Ladayi Se Bachana Mujhko)
Muskurana, Muskurana Gaaliyan Khaa’ke Sikhana Mujhko,
(Muskurana Gaaliyan Khaa’ke Sikhana Mujhko)

Lab’pe Aati Hai,
Lab’pe Aati Hai Dua Banke Tamanna Meri,
Ghar Toh Unka Ho Hukumat Ho Khudaya Meri
(Ghar Toh Unka Ho Hukumat Ho Khudaya Meri)




Main Agar Batti Bujhaun Ke Andhera Ho Jaye,
(Main Agar Batti Bujhaun Ke Andhera Ho Jaye)
Main Hi Batti Ko Jalaaun Ke Ujala Ho Jaaye,
(Main Hi Batti Ko Jalaaun Ke Ujala Ho Jaaye)

Mera Imaan Ho Shauhar Se Mohabbat Karna,
(Mera Imaan Ho Shauhar Se Mohabbat Karna)
Naa Itaa’at, Ba Gulami, Naa Ibaadat Karna,
(Naa Itaa’at, Ba Gulami, Naa Ibaadat Karna)

Naa Karun Maike Mein Aakar Main Shikayat Unki,
(Naa Karun Maike Mein Aakar Main Shikayat Unki)
Karni Aati Ho Mujhe Khud Hi Marramat Unki,
(Karni Aati Ho Mujhe Khud Hi Marramat Unki)

Aadmi Toh Unhe Toone Hai Banaya Yaara,
(Aadmi Toh Unhe Toone Hai Banaya Yara)
Mujhko Sikhlao Unhein Insan Banana Yara,
(Mujhko Sikhlao Unhein Insan Banana Yara)

Ghar Mein Agar Unke Bhatakne Se Andhera Ho Jaaye,
(Ghar Mein Agar Unke Bhatakne Se Andhera Ho Jaaye)
Bhaad Mein Jhonkun Unhein Aur Ujala Ho Jaye,
(Bhaad Mein Jhonkun Unhein Aur Ujala Ho Jaye)

Woh Ho Shaheen Toh Maula Main Shahina Ho Jaaun,
(Woh Ho Shaheen Toh Maula Main Shahina Ho Jaun)
Aur Kamine Ho Toh Main Badh’ke Kamina Ho Jaun,
(Aur Kamine Ho Toh Main Badh’ke Kamina Ho Jaaun)

Lekin Allah Mere Aisi Na Naubat Aaye,
Woh Rafaaqat Ho Ke Hum Dono Ko Raahat Aaye,
Woh Mohabbat Jise Andeshaye Sawal Na Ho,
Kisi Jhidki Kisi Thappad Ka Bhi Sawal Na Ho,
Unko Roti Hai Pasand, Mujhko Hai Bhawe Chawal,

Aisi Ulfat Ho,
Aisi Ulfat Hoke Hum Roti Se Khaave Chawal,
(Aisi Ulfat Hoke Hum Roti Se Khaave Chawal)

 

Comments

Popular posts from this blog

तलबीना की अहमियत

कल्कि अवतार (पंडित वेद प्रकाश ब्राह्मण)

مسواک کے ستر (70) فوائد